Guide

Kaise khelein?

Do minute ka match, das sawal, ek winner. Yahan sab kuch tafseel se.

1. Account banayein

Play page par apna mobile number likhein, naam aur 4-digit PIN banayein. Bas. Agli baar isi number aur PIN se login karein. Ek insaan sirf ek account bana sakta hai.

2. Wallet mein paise daalein

Wallet mein jaa kar "Paise daalein" dabayein. Paise sirf aap ke wallet mein jate hain aur har entry, inaam aur withdraw ki history wahan dikhti hai.

3. Category aur entry chunein

Har category ke liye 4 entry levels hain:

EntryKul potJeetne wale ko
Rs 20Rs 40Rs 36
Rs 50Rs 100Rs 90
Rs 100Rs 200Rs 180
Rs 500Rs 1000Rs 900

Platform fee 10% hai — yahi hamari kamai hai.

4. Muqabil se match

App aap ko usi category aur usi entry wale kisi asli player se milaati hai. Entry fee tab hi kat ti hai jab match shuru ho. Agar 30 second mein koi player na mile, to app khud "Computer" ban kar aap ke saath khelti hai aur aap ke muqable mein utni hi raqam lagati hai (Rs 100 tak ki entry par). Computer hamesha "Computer" naam aur robot icon ke saath dikhta hai.

5. Scoring

Dono players ko bilkul same 10 sawal, same order mein milte hain. Har sawal ke liye 10 second.

  • Sahi jawab: 100 points
  • Speed bonus: jitna jaldi, utna zyada — 0 se 100 extra points
  • Ghalat ya time khatam: 0 points

10 sawal ke baad jiske points zyada, wohi jeeta. Barabar points par dono ki entry wapas.

6. Inaam aur withdraw

Jeetne par inaam foran wallet mein aa jata hai. Wallet se Easypaisa, JazzCash ya bank account mein withdraw request bhej sakte hain. Tafseel ke liye Refund Policy dekhein.