About

Hamare baare mein

Quiz ka shauq, muqable ka maza, aur imaandar hisaab.

Hum kaun hain

Dimagh Lagao ek Pakistani skill gaming platform hai. Hamara maqsad simple hai: Pakistan mein quiz ka jo shauq hai — TV quiz shows se le kar dosto ke beech "bata kaun jaanta hai" tak — usay ek tez, saaf aur mazedaar 1v1 muqable mein badalna.

Kyun banaya

Zyada tar "earning" apps qismat par chalti hain. Hum chahte the ke jeet sirf us ki ho jo zyada jaanta hai aur tez sochta hai. Is liye har match mein dono players ko same sawal, same waqt milta hai, aur faisla server karta hai.

Hamare usool

  • Skill, qismat nahi — koi spin, dice ya card nahi.
  • Saaf hisaab — platform fee 10%, har rupaye ki history wallet mein.
  • Koi dhoka nahi — computer opponent hamesha "Computer" likha hota hai.
  • Zimmedari — sirf 18+ players, aur apni had mein khelne ki targhib.